kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna
kis pe qaabū jo tujhī pe nahīñ qaabū apnā
kis se ummīd hameñ jab na huā tū apnā
jām-e-mai dekh ke jaatā rahā qaabū apnā
laḌkhaḌātā huuñ pakaḌ le koī baazū apnā
nik.hat-e-gul bahut itrātī huī phirtī hai
vo kahīñ khol bhī deñ turra-e-gesū apnā
us ne phir kar bhī na dekhā ki ye hai kaun balā
ham ko thā zom ki chal jā.egā jaadū apnā
jis ko samjhe ho vahī chiiz nahīñ muddat se
ham dikhā deñge kabhī chiir ke pahlū apnā
par-e-parvāz nikalne de qafas meñ sayyād
kaam degā yahī TuuTā huā baazū apnā
mil ga.e ḳhaak meñ dar par tire itnā baiThe
is riyāzat pe bhī ab tak na huā tū apnā
ġham nahīñ jām-e-tilākār uThā rakh saaqī
kyā ġharaz ham ko salāmat rahe chullū apnā
chaukḌī bhuul ke muñh takte haiñ mujh vahshī ke
aake is paañv pe sar rakhte haiñ aahū apnā
kaun ai tūl-e-shab-e-ġham tirā jhagḌā rakkhe
aaj qissa hī kiye dete haiñ yaksū apnā
nik.hat-e-ḳhuld-e-barīñ phail ga.ī kosoñ tak
vo nahā kar jo sukhāne lage gesū apnā
lillāhil-hamd kudūrat nahīñ rahne paatī
muñh dhulā detā hai har sub.h ko aañsū apnā
shādī o ġham ke raheñge yahī ragḌe jhagḌe
qissa jis vaqt talak hogā na yaksū apnā
ġham meñ parvāna-e-marhūm ke thamte nahīñ ashk
sham.a ai sham.a zarā dekh to muñh tū apnā
be-adab mus.haf-e-ruḳhsār pe jhuk paḌte haiñ
rakhiye shānoñ pe zarā gher ke gesū apnā
sīna-e-tañg se ghabrā ke gayā dil to gayā
muñh dikhā.e na mujhe ab ye siyah-rū apnā
phañsne vaalā thā phañsā aa ke tirī zulfoñ meñ dil
ba-ḳhudā is meñ nahīñ jurm sar-e-mū apnā
shaam se jeb meñ ik talḳh davā rakkhī hai
aaj qissa hī kiye dete haiñ yaksū apnā
vahm o idrāk o ḳhayālāt o dil o ḳhvāhish-e-dil
sab to apne haiñ magar kyuuñ nahīñ qaabū apnā
'shād' samjhāte haiñ kyuuñ ġhair liyā kyā un kā
chashm-e-tar apnī hai jaan apnī hai aañsū apnā
kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna
kis se ummid hamein jab na hua tu apna
jam-e-mai dekh ke jata raha qabu apna
laDkhaData hun pakaD le koi bazu apna
nikhat-e-gul bahut itraati hui phirti hai
wo kahin khol bhi den turra-e-gesu apna
us ne phir kar bhi na dekha ki ye hai kaun bala
hum ko tha zom ki chal jaega jadu apna
jis ko samjhe ho wahi chiz nahin muddat se
hum dikha denge kabhi chir ke pahlu apna
par-e-parwaz nikalne de qafas mein sayyaad
kaam dega yahi TuTa hua bazu apna
mil gae KHak mein dar par tere itna baiThe
is riyazat pe bhi ab tak na hua tu apna
gham nahin jam-e-tilakar uTha rakh saqi
kya gharaz hum ko salamat rahe chullu apna
chaukDi bhul ke munh takte hain mujh wahshi ke
aake is panw pe sar rakhte hain aahu apna
kaun ai tul-e-shab-e-gham tera jhagDa rakkhe
aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna
nikhat-e-KHuld-e-barin phail gai koson tak
wo naha kar jo sukhane lage gesu apna
lillahil-hamd kudurat nahin rahne pati
munh dhula deta hai har subh ko aansu apna
shadi o gham ke rahenge yahi ragDe jhagDe
qissa jis waqt talak hoga na yaksu apna
gham mein parwana-e-marhum ke thamte nahin ashk
shama ai shama zara dekh to munh tu apna
be-adab mushaf-e-ruKHsar pe jhuk paDte hain
rakhiye shanon pe zara gher ke gesu apna
sina-e-tang se ghabra ke gaya dil to gaya
munh dikhae na mujhe ab ye siyah-ru apna
phansne wala tha phansa aa ke teri zulfon mein dil
ba-KHuda is mein nahin jurm sar-e-mu apna
sham se jeb mein ek talKH dawa rakkhi hai
aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna
wahm o idrak o KHayalat o dil o KHwahish-e-dil
sab to apne hain magar kyun nahin qabu apna
'shad' samjhate hain kyun ghair liya kya un ka
chashm-e-tar apni hai jaan apni hai aansu apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.