kis pe qurban kise yaad hue the hum bhi
kis pe qurbān kise yaad hue the ham bhī
yaad itnā hai ki barbād hue the ham bhī
in dinoñ bhī the kahāñ ma.anī-o-alfāz baham
lab-e-ḳhāmosh se irshād hue the ham bhī
ab to dīvār pe likkhe haiñ ka.ī naam na.e
is hasīñ shahr kī rūdād hue the ham bhī
thā vahāñ peḌ na paanī na parinda koī
kis jale dasht meñ ābād hue the ham bhī
ham nahīñ aise ki ab jashn manā.eñ jhūTe
avval avval to bahut shaad hue the ham bhī
le ga.e saare par-o-bāl uḌā kar kargas
yaad aatā hai ki āzād hue the ham bhī
kis pe qurban kise yaad hue the hum bhi
yaad itna hai ki barbaad hue the hum bhi
in dinon bhi the kahan mani-o-alfaz baham
lab-e-KHamosh se irshad hue the hum bhi
ab to diwar pe likkhe hain kai nam nae
is hasin shahr ki rudad hue the hum bhi
tha wahan peD na pani na parinda koi
kis jale dasht mein aabaad hue the hum bhi
hum nahin aise ki ab jashn manaen jhuTe
awwal awwal to bahut shad hue the hum bhi
le gae sare par-o-baal uDa kar kargas
yaad aata hai ki aazad hue the hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.