kis qadar be-ruKHi se milte hain
kis qadar be-ruḳhī se milte haiñ
ḳhvāb jab zindagī se milte haiñ
yaad aate haiñ dil-rubā manzar
hoñT jab bāñsurī se milte haiñ
Daste rahte haiñ mahfiloñ ke badan
zaḳhm jo ḳhāmushī se milte haiñ
din kī dahlīz par khaḌe ho kar
raat bhar ham kisī se milte haiñ
ziist ke ḳhushnumā savere bhī
vaqt kī tīrgī se milte haiñ
terī ġhazloñ ke sab nuqūsh 'rafī.a'
hū-bahū is sadī se milte haiñ
kis qadar be-ruKHi se milte hain
KHwab jab zindagi se milte hain
yaad aate hain dil-ruba manzar
honT jab bansuri se milte hain
Daste rahte hain mahfilon ke badan
zaKHm jo KHamushi se milte hain
din ki dahliz par khaDe ho kar
raat bhar hum kisi se milte hain
zist ke KHushnuma sawere bhi
waqt ki tirgi se milte hain
teri ghazlon ke sab nuqush 'rafia'
hu-bahu is sadi se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.