kis qadar dil-bastagi mahngi paDi
kis qadar dil-bastagī mahñgī paḌī
mujh ko to har ik ḳhushī mahñgī paḌī
ik zarā sī phuljhaḌī mahñgī paḌī
ghar jalā to raushnī mahñgī paḌī
aa.ine bikhre paḌe haiñ farsh par
pattharoñ se dostī mahñgī paḌī
haal ghar kā bad se bad-tar ho gayā
muflisī meñ shā'irī mahñgī paḌī
kyā sunā.ūñ dāstān-e-zindagī
zindagī-bhar zindagī mahñgī paḌī
le gayā Daalī se koī toḌ kar
ik kalī ko dilkashī mahñgī paḌī
'umr-bhar taḌpā kisī kī yaad meñ
'umr-bhar dil kī lagī mahñgī paḌī
kis qadar dil-bastagi mahngi paDi
mujh ko to har ek KHushi mahngi paDi
ek zara si phuljhaDi mahngi paDi
ghar jala to raushni mahngi paDi
aaine bikhre paDe hain farsh par
pattharon se dosti mahngi paDi
haal ghar ka bad se bad-tar ho gaya
muflisi mein sha'iri mahngi paDi
kya sunaun dastan-e-zindagi
zindagi-bhar zindagi mahngi paDi
le gaya Dali se koi toD kar
ek kali ko dilkashi mahngi paDi
'umr-bhar taDpa kisi ki yaad mein
'umr-bhar dil ki lagi mahngi paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.