kis qadar dushwar hai in ajnabi shahron mein rahna
kis qadar dushvār hai in ajnabī shahroñ meñ rahnā
ghar kī chaukhaT DhūñDne meñ hijratoñ ke dard sahnā
us se karnā guftugū bas aate jaate mausamoñ kī
aur sargardāñ havā se apne dil kī baat kahnā
ab to us kī justujū kā ek hī andāz Thahrā
titliyoñ ke saath phirnā ḳhushbuoñ ke saath rahnā
phir kisī kī aañkh meñ dekhā gayā hai mausam-e-gul
kitne din ke ba.ad maiñ ne koī khiltā rang pahnā
kū-ba-kū phirte hī kaT jā.egī saarī umr apnī
kyā sarāboñ ke nagar meñ manziloñ kī qaid sahnā
ik bhañvar meñ ghūmtī hai saañs kī kashtī azal se
apnī fitrat hī kahāñ thī pāniyoñ ke saath bahnā
kis qadar dushwar hai in ajnabi shahron mein rahna
ghar ki chaukhaT DhunDne mein hijraton ke dard sahna
us se karna guftugu bas aate jate mausamon ki
aur sargardan hawa se apne dil ki baat kahna
ab to us ki justuju ka ek hi andaz Thahra
titliyon ke sath phirna KHushbuon ke sath rahna
phir kisi ki aankh mein dekha gaya hai mausam-e-gul
kitne din ke baad main ne koi khilta rang pahna
ku-ba-ku phirte hi kaT jaegi sari umr apni
kya sarabon ke nagar mein manzilon ki qaid sahna
ek bhanwar mein ghumti hai sans ki kashti azal se
apni fitrat hi kahan thi paniyon ke sath bahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.