kis qadar hai muhib sannaTa
kis qadar hai muhīb sannāTā
ḳhvāhishoñ kā ajiib sannāTā
zard rut kā ḳhirāj hai patjhaḌ
vahshatoñ kā naqīb sannāTā
hai mujhe pyaar ujḌe logoñ se
chāhtā huuñ qarīb sannāTā
meñ ki tanhā udaas āvāra
merā hamdam habīb sannāTā
tum musāfir bahār rastoñ ke
merī manzil salīb sannāTā
chāñdnī raat kah ga.ī 'shāhid'
rat-jagoñ kā nasīb sannāTā
kis qadar hai muhib sannaTa
KHwahishon ka ajib sannaTa
zard rut ka KHiraj hai patjhaD
wahshaton ka naqib sannaTa
hai mujhe pyar ujDe logon se
chahta hun qarib sannaTa
mein ki tanha udas aawara
mera hamdam habib sannaTa
tum musafir bahaar raston ke
meri manzil salib sannaTa
chandni raat kah gai 'shahid'
rat-jagon ka nasib sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.