kis qadar hai rawan-dawan KHushbu
kis qadar hai ravāñ-davāñ ḳhushbū
ho ga.ī thak ke nīm-jāñ ḳhushbū
jab chalā qāfila bahāroñ kā
ban ga.ī mīr-e-kārvāñ ḳhushbū
aa.ī hai itr-bez jhoñke sī
un ke paikar kī mehrbāñ ḳhushbū
rang letī haiñ apne jism tamām
jazb kartī haiñ titliyāñ ḳhushbū
bhārī hai anginat gulāboñ par
adh-khile jism kī javāñ ḳhushbū
kitnī ḳhāmoshī se milātī hai
jism se jism jaañ se jaañ ḳhushbū
sau zabānoñ meñ baat kartī hai
vasl kī raat hai zabāñ ḳhushbū
narm sargoshiyāñ sunātī hai
garm sāñsoñ ke darmiyāñ ḳhushbū
un ke qadmoñ ko chūmtī 'hāmid'
jā chukī hai kahāñ kahāñ ḳhushbū
kis qadar hai rawan-dawan KHushbu
ho gai thak ke nim-jaan KHushbu
jab chala qafila bahaaron ka
ban gai mir-e-karwan KHushbu
aai hai itr-bez jhonke si
un ke paikar ki mehrban KHushbu
rang leti hain apne jism tamam
jazb karti hain titliyan KHushbu
bhaari hai anginat gulabon par
adh-khile jism ki jawan KHushbu
kitni KHamoshi se milati hai
jism se jism jaan se jaan KHushbu
sau zabanon mein baat karti hai
wasl ki raat hai zaban KHushbu
narm sargoshiyan sunati hai
garm sanson ke darmiyan KHushbu
un ke qadmon ko chumti 'hamid'
ja chuki hai kahan kahan KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.