kis qadar hai tu bewafa suraj
kis qadar hai tū bevafā sūraj
shaam hote hī bujh gayā sūraj
saḳht hiddat meñ ghir gayā aalam
de gayā dhuup ko havā sūraj
ḳhud kiran māñgtī hai tujh se panāh
oḌh le abr kī ridā sūraj
ab to barbādiyāñ haiñ sar pe tire
vaqt apnā na tū gañvā sūraj
bār-e-ġham Daal kar zamāne par
ḳhuub letā rahā mazā sūraj
jaan de kar bhī raah se apnī
sargirāñ sang ko haTā sūraj
ḳhud mirī zaat mujh se ruuTh ga.ī
kam se kam tū gale lagā sūraj
ham bhī mehmān hoñ tire ghar ke
paas apne kabhī bulā sūraj
'qudsī' uktā gayā hai chhāñv se
sozishoñ meñ use jalā sūraj
kis qadar hai tu bewafa suraj
sham hote hi bujh gaya suraj
saKHt hiddat mein ghir gaya aalam
de gaya dhup ko hawa suraj
KHud kiran mangti hai tujh se panah
oDh le abr ki rida suraj
ab to barbaadiyan hain sar pe tere
waqt apna na tu ganwa suraj
bar-e-gham Dal kar zamane par
KHub leta raha maza suraj
jaan de kar bhi rah se apni
sargiran sang ko haTa suraj
KHud meri zat mujh se ruTh gai
kam se kam tu gale laga suraj
hum bhi mehman hon tere ghar ke
pas apne kabhi bula suraj
'qudsi' ukta gaya hai chhanw se
sozishon mein use jala suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.