kis qadar himmat hai mujh mein hai tujhe bhi kuchh KHabar
kis qadar himmat hai mujh meñ hai tujhe bhī kuchh ḳhabar
phailtā jaatā hai rasta dekh kar merā safar
is qadar māyūs kyoñ hai dil bhī bachcha hai tirā
lag hī jā.egā bhulāve se nikal kar raah par
is jahān-e-rang-o-bū meñ kitne haiñ vahm-o-gumāñ
saare ḳhadshe chhoḌ de tū aur apnā kaam kar
hai samundar sāmne aur sāhiloñ par hai sarāb
dasht-e-imkāñ DhūñDh hai koī kahāñ dīvār-o-dar
har qadam par manziloñ ko chhoḌnā hai zindagī
jāda-e-imkāñ pe kyā ab rāste pe rakh nazar
kis qadar himmat hai mujh mein hai tujhe bhi kuchh KHabar
phailta jata hai rasta dekh kar mera safar
is qadar mayus kyon hai dil bhi bachcha hai tera
lag hi jaega bhulawe se nikal kar rah par
is jahan-e-rang-o-bu mein kitne hain wahm-o-guman
sare KHadshe chhoD de tu aur apna kaam kar
hai samundar samne aur sahilon par hai sarab
dasht-e-imkan DhunDh hai koi kahan diwar-o-dar
har qadam par manzilon ko chhoDna hai zindagi
jada-e-imkan pe kya ab raste pe rakh nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.