kis qadar maila dil ka darpan hai
kis qadar maila dil ka darpan hai
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
kis qadar mailā dil kā darpan hai
aadmī aadmī kā dushman hai
kah rahī hai ye vaqt kī raftār
zindagī zindagī kā madfan hai
chāhte haiñ ki ek ho jaa.eñ
kyā kareñ dil hamārā dushman hai
ab sadāqat pe hai yaqīn kahāñ
jhuuT kā bolnā baḌā-pan hai
raqs uryāniyat kā hai har-sū
ahd-e-hāzir kā ye nayā-pan hai
ḳhair mere safar kī ho yā-rab
ham-safar aaj merā rahzan hai
baat jitnī baḌī ho sach ye hai
us meñ itnā hī khokhlā-pan hai
haath nafrat se kyoñ milāte ho
ye to zahrīle naag kā phan hai
tīrgī kā nahīñ hai ḳhauf mujhe
mere hāthoñ meñ un kā dāman hai
vo ḳhafā kyā hue ki ai 'anjum'
suunā suunā sā dil kā āñgan hai
kis qadar maila dil ka darpan hai
aadmi aadmi ka dushman hai
kah rahi hai ye waqt ki raftar
zindagi zindagi ka madfan hai
chahte hain ki ek ho jaen
kya karen dil hamara dushman hai
ab sadaqat pe hai yaqin kahan
jhuT ka bolna baDa-pan hai
raqs uryaniyat ka hai har-su
ahd-e-hazir ka ye naya-pan hai
KHair mere safar ki ho ya-rab
ham-safar aaj mera rahzan hai
baat jitni baDi ho sach ye hai
us mein itna hi khokhla-pan hai
hath nafrat se kyon milate ho
ye to zahrile nag ka phan hai
tirgi ka nahin hai KHauf mujhe
mere hathon mein un ka daman hai
wo KHafa kya hue ki ai 'anjum'
suna suna sa dil ka aangan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.