kis qadar talKH ye haqiqat hai
kis qadar talḳh ye haqīqat hai
sab kī qad se baḌī zarūrat hai
ḳhud se milne kī bhī nahīñ fursat
aur bachchoñ ko bhī shikāyat hai
hākim-e-vaqt sach nahīñ sunte
ulTā kahte haiñ ye baġhāvat hai
ham pe fatve haiñ aur ta.azīreñ
sach jo kahne kī ham ko aadat hai
jis meñ tarġhīb ho mohabbat kī
aisā ik sher bhī ibādat hai
apnī galiyoñ meñ ḳhauf hai 'ābid'
ek ik ghar meñ aaj mayyat hai
kis qadar talKH ye haqiqat hai
sab ki qad se baDi zarurat hai
KHud se milne ki bhi nahin fursat
aur bachchon ko bhi shikayat hai
hakim-e-waqt sach nahin sunte
ulTa kahte hain ye baghawat hai
hum pe fatwe hain aur taziren
sach jo kahne ki hum ko aadat hai
jis mein targhib ho mohabbat ki
aisa ek sher bhi ibaadat hai
apni galiyon mein KHauf hai 'abid'
ek ek ghar mein aaj mayyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.