kis qadar tamhid rangin hai shab-e-alam ki
kis qadar tamhīd rangīñ hai shab-e-ālām kī
mujh ko mujh se chhīne letī haiñ fazā.eñ shaam kī
us nigāh-e-avvalīñ ko ro rahā huuñ aaj tak
jis ne buniyādeñ jamā.ī thiiñ ḳhayāl-e-ḳhām kī
husn kī rangīniyoñ meñ mil ke kho jaatā hai ishq
mai ke Dhalte hī badal jaatī hai sūrat jaam kī
ārzūoñ kā nikal jaanā junūñ kā naqs hai
kāmyābī maut hai 'naḳhshab' dil-e-nākām kī
kis qadar tamhid rangin hai shab-e-alam ki
mujh ko mujh se chhine leti hain fazaen sham ki
us nigah-e-awwalin ko ro raha hun aaj tak
jis ne buniyaaden jamai thin KHayal-e-KHam ki
husn ki ranginiyon mein mil ke kho jata hai ishq
mai ke Dhalte hi badal jati hai surat jam ki
aarzuon ka nikal jaana junun ka naqs hai
kaamyabi maut hai 'naKHshab' dil-e-nakaam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.