kis qadar unche mere dam hua karte the
kis qadar ūñche mire daam huā karte the
krishn mere the mire raam huā karte the
mere bhārat meñ faqīroñ kī sadā chaltī thī
suufī santoñ se yahāñ kaam huā karte the
kal talak pyaar hī maz.hab thā mire purkhoñ kā
kitnī āsānī se ham raam huā karte the
ab jo malba yahāñ nafrat kā nazar aatā hai
pyaar ke is meñ dar-o-bām huā karte the
ham to hindū bhī the muslim bhī the insān bhī the
sub.h jo hote vahī shaam huā karte the
ishq aayā to hameñ pyaar bhare naam mile
pyaar se pahle to be-nām huā karte the
ab to phūloñ se guzarte haiñ bachā kar dāman
jo 'munavvar' kabhī gulfām huā karte the
kis qadar unche mere dam hua karte the
krishn mere the mere ram hua karte the
mere bhaarat mein faqiron ki sada chalti thi
sufi santon se yahan kaam hua karte the
kal talak pyar hi mazhab tha mere purkhon ka
kitni aasani se hum ram hua karte the
ab jo malba yahan nafrat ka nazar aata hai
pyar ke is mein dar-o-baam hua karte the
hum to hindu bhi the muslim bhi the insan bhi the
subh jo hote wahi sham hua karte the
ishq aaya to hamein pyar bhare nam mile
pyar se pahle to be-nam hua karte the
ab to phulon se guzarte hain bacha kar daman
jo 'munawwar' kabhi gulfam hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.