kis qadar zaKHm-e-dil-e-zar ne khae hain abhi
kis qadar zaḳhm-e-dil-e-zār ne khaa.e haiñ abhī
lāf-zan mil ke mire yaar se aa.e haiñ abhī
raat ko ā.eñge ifrīt mujassam ban kar
ye ujāle meñ jo dīvār pe saa.e haiñ abhī
un ke vīrān khañDar umr ke saath hoñge kahāñ
dil ne aivāñ jo trahdār sajā.e haiñ abhī
jis taraf aañkh uThe jalva-e-rañgīñ dekheñ
aañkh meñ ḳhalvat-e-dildār ke saa.e haiñ abhī
naaz se jins-e-dil-o-jāñ kī numā.ish itnī
aap kyā ishq ke bāzār meñ aa.e haiñ abhī
kis qadar zaKHm-e-dil-e-zar ne khae hain abhi
laf-zan mil ke mere yar se aae hain abhi
raat ko aaenge ifrit mujassam ban kar
ye ujale mein jo diwar pe sae hain abhi
un ke viran khanDar umr ke sath honge kahan
dil ne aiwan jo trahdar sajae hain abhi
jis taraf aankh uThe jalwa-e-rangin dekhen
aankh mein KHalwat-e-dildar ke sae hain abhi
naz se jins-e-dil-o-jaan ki numaish itni
aap kya ishq ke bazar mein aae hain abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.