kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga
kis qayāmat kā na jaane vo añdherā hogā
jis ne ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb ko gherā hogā
haañ isī parda-e-zulmāt se ubhregī sahar
panja-e-shab se kahāñ qaid saverā hogā
kis se us husn kā afsāna kahūñ jis ke liye
maiñ ne sochā bhī nahīñ thā kabhī merā hogā
raat bhar dī hai dar-e-dil pe kisī ne dastak
vo ye kahtā hai nahīñ koī luTerā hogā
aaj jī bhar ke use dekh le 'kausar' sar-e-bām
jaane un galiyoñ meñ phir kab tirā pherā hogā
kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga
jis ne KHurshid-e-jahan-tab ko ghera hoga
han isi parda-e-zulmat se ubhregi sahar
panja-e-shab se kahan qaid sawera hoga
kis se us husn ka afsana kahun jis ke liye
main ne socha bhi nahin tha kabhi mera hoga
raat bhar di hai dar-e-dil pe kisi ne dastak
wo ye kahta hai nahin koi luTera hoga
aaj ji bhar ke use dekh le 'kausar' sar-e-baam
jaane un galiyon mein phir kab tera phera hoga
- Book : Nuquush (Pg. 483)
- Author : Mohammad Tufail
- Publication : Idara-e-Frog-e-Urdu, Lahore (1985,Issue No. 132)
- Edition : 1985,Issue No. 132
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.