kis rah pe hain rawan-dawan hum
kis raah pe haiñ ravāñ-davāñ ham
jā.eñge ḳhabar nahīñ kahāñ ham
ik baar fareb khā ga.e the
ab tak haiñ kisī se bad-gumāñ ham
yuuñ terī nigāh se gire haiñ
goyā the matā-e-rā.egāñ ham
rastoñ kī ḳhabar na manziloñ kī
kyā jāniye aa ga.e kahāñ ham
dil meñ thiiñ kuchh aisī hasrateñ bhī
tujh se jo na kar sake yahāñ ham
guzrī hai qafas meñ umr lekin
bhūle nahīñ yaad āshiyāñ ham
har haal ḳhushī unhī kī chāhī
karte rahe pās-e-dostāñ ham
pesh aa.e na-jāne kyā safar meñ
ghar se to chale haiñ shādmāñ ham
ik manzil-e-be-nishāñ kī dhun meñ
'shafqat' na phire kahāñ kahāñ ham
kis rah pe hain rawan-dawan hum
jaenge KHabar nahin kahan hum
ek bar fareb kha gae the
ab tak hain kisi se bad-guman hum
yun teri nigah se gire hain
goya the mata-e-raegan hum
raston ki KHabar na manzilon ki
kya jaaniye aa gae kahan hum
dil mein thin kuchh aisi hasraten bhi
tujh se jo na kar sake yahan hum
guzri hai qafas mein umr lekin
bhule nahin yaad aashiyan hum
har haal KHushi unhi ki chahi
karte rahe pas-e-dostan hum
pesh aae na-jaane kya safar mein
ghar se to chale hain shadman hum
ek manzil-e-be-nishan ki dhun mein
'shafqat' na phire kahan kahan hum
- NuqooshVol. No. 81-82
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.