kis roz humne aah-o-fughan mein basar na ki
kis roz ham ne āh-o-fuġhāñ meñ basar na kī
thī raat kaun sī jo taḌap kar sahar na kī
is daur-e-ḳhud-ġharaz meñ ye ḳhuddārī-e-nigāh
dam par bhī ban ga.ī sū-e-sāqī nazar na kī
bazm-e-jahāñ se jaate hue kyoñ kisī ne bhī
muḌ kar nigāh-e-jānib-e-dīvār-o-dar na kī
ye ehtiyāt-e-pās-e-mohabbat to dekhiye
karnī thī un se ġham kī shikāyat magar na kī
kotāhī-e-nazar thī ki nā-qadrī-e-suḳhan
'jarrār' ham ne pesh mata-e-hunar na kī
kis roz hum ne aah-o-fughan mein basar na ki
thi raat kaun si jo taDap kar sahar na ki
is daur-e-KHud-gharaz mein ye KHuddari-e-nigah
dam par bhi ban gai su-e-saqi nazar na ki
bazm-e-jahan se jate hue kyon kisi ne bhi
muD kar nigah-e-jaanib-e-diwar-o-dar na ki
ye ehtiyat-e-pas-e-mohabbat to dekhiye
karni thi un se gham ki shikayat magar na ki
kotahi-e-nazar thi ki na-qadri-e-suKHan
'jarrar' hum ne pesh mata-e-hunar na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.