Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis samt muD gai thi mujhe yaad aa gai

Mansoor Faaiz

kis samt muD gai thi mujhe yaad aa gai

Mansoor Faaiz

MORE BYMansoor Faaiz

    kis samt muḌ ga.ī thī mujhe yaad aa ga.ī

    haañ haañ vo raushnī thī mujhe yaad aa ga.ī

    titlī jo gir paḌī thī mujhe yaad aa ga.ī

    sabze ko chūmtī thī mujhe yaad aa ga.ī

    yādoñ ke ek baaġh meñ rakhe jūñhī qadam

    jitnī bhī zindagī thī mujhe yaad aa ga.ī

    pāzeb sadā thī jo dekhā to ik parī

    paanī pe chal rahī thī mujhe yaad aa ga.ī

    lauT aao to batā.ūñ judā kyuuñ hue the ham

    ik baat sarsarī thī mujhe yaad aa ga.ī

    charḳhe ko kāt.te hue āḳhir girah khulī

    tasvīr jo banī thī mujhe yaad aa ga.ī

    koyal kuuk chalne lagī jab nadī ke saath

    kaise vo boltī thī mujhe yaad aa ga.ī

    mansūr se nikal ke jo phailī thī chār-sū

    kis ruḳh raushnī thī mujhe yaad aa ga.ī

    kis samt muD gai thi mujhe yaad aa gai

    han han wo raushni thi mujhe yaad aa gai

    titli jo gir paDi thi mujhe yaad aa gai

    sabze ko chumti thi mujhe yaad aa gai

    yaadon ke ek bagh mein rakhe junhi qadam

    jitni bhi zindagi thi mujhe yaad aa gai

    pazeb ki sada thi jo dekha to ek pari

    pani pe chal rahi thi mujhe yaad aa gai

    lauT aao to bataun juda kyun hue the hum

    ek baat sarsari thi mujhe yaad aa gai

    charKHe ko katte hue aaKHir girah khuli

    taswir jo bani thi mujhe yaad aa gai

    koyal ki kuk chalne lagi jab nadi ke sath

    kaise wo bolti thi mujhe yaad aa gai

    mansur se nikal ke jo phaili thi chaar-su

    kis ruKH ki raushni thi mujhe yaad aa gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now