kis se ab ja ke kahen haal-e-pareshan apna
kis se ab jā ke kaheñ hāl-e-pareshāñ apnā
liye phirte haiñ sabhī chaak garebāñ apnā
juz tire naam ke ubhrī na koī aur sadā
ham ne chheḌā jo kabhī tār-e-rag-e-jāñ apnā
phir use mujh sā koī chāhne vaalā na milā
vo pashemāñ hai bahut toḌ ke paimāñ apnā
mere hoñToñ ke tabassum se hirāsāñ ho kar
ruḳh badal letā hai sail-e-ġham-e-daurāñ apnā
bāġhbāñ se kabhī ḳhairāt na māñgī ham ne
mausam-e-gul meñ bhī ḳhālī rahā dāmāñ apnā
kam se kam jhūTī tasallī se to mahfūz haiñ ham
ye bhī achchhā hai ki koī nahīñ pursāñ apnā
apne qadmoñ pe farishtoñ ko jhukā saktā hai
martaba jaan le 'ābid' agar insāñ apnā
kis se ab ja ke kahen haal-e-pareshan apna
liye phirte hain sabhi chaak gareban apna
juz tere nam ke ubhri na koi aur sada
hum ne chheDa jo kabhi tar-e-rag-e-jaan apna
phir use mujh sa koi chahne wala na mila
wo pasheman hai bahut toD ke paiman apna
mere honTon ke tabassum se hirasan ho kar
ruKH badal leta hai sail-e-gham-e-dauran apna
baghban se kabhi KHairaat na mangi hum ne
mausam-e-gul mein bhi KHali raha daman apna
kam se kam jhuTi tasalli se to mahfuz hain hum
ye bhi achchha hai ki koi nahin pursan apna
apne qadmon pe farishton ko jhuka sakta hai
martaba jaan le 'abid' agar insan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.