kis se karenge arz-e-tamanna kahen jise
kis se karenge arz-e-tamanna kahen jise
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
kis se kareñge arz-e-tamannā kaheñ jise
miltā nahīñ hai koī bhī apnā kaheñ jise
girtī huī hayāt kī dīvār thāmiye
lāzim hai dard dil kā sahārā kaheñ jise
mai-ḳhāna-e-hayāt meñ bahtī hai jū-e-ḳhūn
saaqī tirā taġhāful-e-be-jā kaheñ jise
ḳhūn-e-jigar se bazm-e-tamannā hai lāla-rañg
mahrūmiyāñ haiñ aur dil-e-shaidā kaheñ jise
ābād un ke jazb-e-mohabbat ke dam se hai
aql-o-dil-o-ḳhayāl kī duniyā kaheñ jise
duniyā ke hādsāt se āsāñ guzar ga.e
kitnā hasīñ hai va.ada-e-fardā kaheñ jise
allāh kyā haiñ soz-e-tamannā kī ināyāt
mar mar ke un kī raah meñ jiinā kaheñ jise
jab nā-gahāñ mile to kiyā vāda-e-visāl
ye iltifāt hai ki bahāna kaheñ jise
kis se karenge arz-e-tamanna kahen jise
milta nahin hai koi bhi apna kahen jise
girti hui hayat ki diwar thamiye
lazim hai dard dil ka sahaara kahen jise
mai-KHana-e-hayat mein bahti hai ju-e-KHun
saqi tera taghaful-e-be-ja kahen jise
KHun-e-jigar se bazm-e-tamanna hai lala-rang
mahrumiyan hain aur dil-e-shaida kahen jise
aabaad un ke jazb-e-mohabbat ke dam se hai
aql-o-dil-o-KHayal ki duniya kahen jise
duniya ke hadsat se aasan guzar gae
kitna hasin hai wada-e-farda kahen jise
allah kya hain soz-e-tamanna ki inayat
mar mar ke un ki rah mein jina kahen jise
jab na-gahan mile to kiya wada-e-visal
ye iltifat hai ki bahana kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.