kis se kya mangun jahan mein koi kya dega mujhe
kis se kyā māñgūñ jahāñ meñ koī kyā degā mujhe
jo bhī degā kam ziyāda vo ḳhudā degā mujhe
qatl karke jo tamannāoñ kā merī shaad hai
us se kyā ummīd rakhūñ ḳhūñ-bahā degā mujhe
vo masīhā jis ke dāman par lahū ke daaġh haiñ
zahr-e-qātil sūrat-e-āb-e-baqā degā mujhe
lamha-e-tark-e-ta.alluq ye kabhī sochā na thā
zindagī bhar tanhā rahne kī sazā degā mujhe
dekhtā hai āsmāñ taptā huā parbat ki ab
sabz ḳhil.at paanī barsā kar ḳhudā degā mujhe
jhurriyoñ aur silvaToñ par barhamī merī abas
jo mirā chehra hai vo hī aa.ina degā mujhe
kaam āñkhoñ se zabāñ kā lenā hai 'naġhmī' vahāñ
vo qalam karke zabāñ harf-o-navā degā mujhe
kis se kya mangun jahan mein koi kya dega mujhe
jo bhi dega kam ziyaada wo KHuda dega mujhe
qatl karke jo tamannaon ka meri shad hai
us se kya ummid rakhun KHun-baha dega mujhe
wo masiha jis ke daman par lahu ke dagh hain
zahr-e-qatil surat-e-ab-e-baqa dega mujhe
lamha-e-tark-e-talluq ye kabhi socha na tha
zindagi bhar tanha rahne ki saza dega mujhe
dekhta hai aasman tapta hua parbat ki ab
sabz KHilat pani barsa kar KHuda dega mujhe
jhurriyon aur silwaTon par barhami meri abas
jo mera chehra hai wo hi aaina dega mujhe
kaam aankhon se zaban ka lena hai 'naghmi' wahan
wo qalam karke zaban harf-o-nawa dega mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.