kis se milte hain kahan jate hain kya karte hain

kis se milte hain kahan jate hain kya karte hain
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
kis se milte haiñ kahāñ jaate haiñ kyā karte haiñ
vasvase dil meñ ye rah rah ke uThā karte haiñ
farq karte haiñ kahāñ apne parā.e meñ kabhī
jo bhale hote haiñ vo sab kā bhalā karte haiñ
surḳh-rū hote haiñ vo kārgah-e-hastī meñ
faisla soch-samajh kar jo kiyā karte haiñ
dekh kar mujh ko badal jaate haiñ un ke tevar
dūsroñ se to vo hañs hañs ke milā karte haiñ
tere dīvāne guzar jaate haiñ hañste hañste
hosh-mandoñ ke jahāñ hosh uḌā karte haiñ
dekhne vāloñ kī kyā baat kaheñ vo ḳhud bhī
aa.ina dekh ke dil thaam liyā karte haiñ
kyā 'azīzoñ se hameñ koī shikāyat ho 'shakīl'
dushmanoñ ke liye bhī ham to du'ā karte haiñ
kis se milte hain kahan jate hain kya karte hain
waswase dil mein ye rah rah ke uTha karte hain
farq karte hain kahan apne parae mein kabhi
jo bhale hote hain wo sab ka bhala karte hain
surKH-ru hote hain wo kargah-e-hasti mein
faisla soch-samajh kar jo kiya karte hain
dekh kar mujh ko badal jate hain un ke tewar
dusron se to wo hans hans ke mila karte hain
tere diwane guzar jate hain hanste hanste
hosh-mandon ke jahan hosh uDa karte hain
dekhne walon ki kya baat kahen wo KHud bhi
aaina dekh ke dil tham liya karte hain
kya 'azizon se hamein koi shikayat ho 'shakil'
dushmanon ke liye bhi hum to du'a karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.