kis se puchhun bhala-bura kya hai
kis se pūchhūñ bhalā-burā kyā hai
zindagī terā falsafa kyā hai
yuuñ to kartī nahīñ ibādat maiñ
jāntī huuñ magar ḳhudā kyā hai
ye to ab vaqt hī batā.egā
kis safar meñ mujhe milā kyā hai
niiñd ko bhī ḳhabar kahāñ 'renū'
mere ḳhvāboñ kī intihā kyā hai
kis se puchhun bhala-bura kya hai
zindagi tera falsafa kya hai
yun to karti nahin ibaadat main
jaanti hun magar KHuda kya hai
ye to ab waqt hi bataega
kis safar mein mujhe mila kya hai
nind ko bhi KHabar kahan 'renu'
mere KHwabon ki intiha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.