kis se ThanDak hai ki ye sab hain jalane wale
kis se ThanDak hai ki ye sab haiñ jalāne vaale
naale aahoñ se sivā aag lagāne vaale
ba.ad murdan to huā soz-e-mohabbat paidā
vo mirī qabr pe haiñ sham.a jalāne vaale
koThe par chaḌh ke uḌāyā na kareñ aap patañg
Dore Dāleñ na kahīñ yaar uḌāne vaale
kyūñki māshūqoñ ke va.adoñ pe hayā karte the
bhole-bhāle the bahut agle zamāne vaale
uḌtī chiḌiyāñ koī kyā pakḌegā un ke aage
achchhe-achchhoñ ko haiñ chuTkī meñ uḌāne vaale
ham jo kahte haiñ ki marte haiñ to farmāte haiñ
aise dekhe haiñ bahut jaan se jaane vaale
le ke dil aañkh bhī to ham se milāte vo nahīñ
the mire dil kī tarah din bhī ye aane vaale
kis se ThanDak hai ki ye sab hain jalane wale
nale aahon se siwa aag lagane wale
baad murdan to hua soz-e-mohabbat paida
wo meri qabr pe hain shama jalane wale
koThe par chaDh ke uDaya na karen aap patang
Dore Dalen na kahin yar uDane wale
kyunki mashuqon ke wadon pe haya karte the
bhole-bhaale the bahut agle zamane wale
uDti chiDiyan koi kya pakDega un ke aage
achchhe-achchhon ko hain chuTki mein uDane wale
hum jo kahte hain ki marte hain to farmate hain
aise dekhe hain bahut jaan se jaane wale
le ke dil aankh bhi to hum se milate wo nahin
the mere dil ki tarah din bhi ye aane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.