kis shai ka suragh de raha hun
kis shai kā surāġh de rahā huuñ
andhe ko charāġh de rahā huuñ
dete nahīñ log dil bhī jis ko
maiñ us ko dimāġh de rahā huuñ
baḳhshish meñ milī thiiñ chand kaliyāñ
tāvān meñ baaġh de rahā huuñ
tū ne diye the jism ko zaḳhm
maiñ ruuh ko daaġh de rahā huuñ
zaḳhmoñ se lahū Tapak rahā hai
qātil ko surāġh de rahā huuñ
kis shai ka suragh de raha hun
andhe ko charagh de raha hun
dete nahin log dil bhi jis ko
main us ko dimagh de raha hun
baKHshish mein mili thin chand kaliyan
tawan mein bagh de raha hun
tu ne diye the jism ko zaKHm
main ruh ko dagh de raha hun
zaKHmon se lahu Tapak raha hai
qatil ko suragh de raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.