kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai
kis shor-e-jahannum meñ fazā Duub chalī hai
dil dhaḌke hai siine meñ navā Duub chalī hai
vo ḳhuun kī maujeñ haiñ har ik sū ki kamar tak
farḳhanda jamāloñ kī qabā Duub chalī hai
vo habs kā 'ālam hai ki har saañs hai ghāyal
kyā zikr huā nabz-e-havā Duub chalī hai
kyā jāniye kis goshe se umDī hai siyāhī
kyā kahiye ki kirnoñ kī ridā Duub chalī hai
is shor meñ kyā koī sunegā mirī āvāz
jis shor meñ mātam kī sadā Duub chalī hai
kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai
dil dhaDke hai sine mein nawa Dub chali hai
wo KHun ki maujen hain har ek su ki kamar tak
farKHanda jamalon ki qaba Dub chali hai
wo habs ka 'alam hai ki har sans hai ghayal
kya zikr hua nabz-e-hawa Dub chali hai
kya jaaniye kis goshe se umDi hai siyahi
kya kahiye ki kirnon ki rida Dub chali hai
is shor mein kya koi sunega meri aawaz
jis shor mein matam ki sada Dub chali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.