kis takalluf kis ehtimam se hum
kis takalluf kis ehtimām se ham
dil ko bahlā rahe haiñ shaam se ham
mai chhalaktī hai rind pyāse haiñ
phir bhī ḳhush haiñ is intizām se ham
ab gulistāñ meñ āshiyāñ bhī nahīñ
ab kahāñ jaa.eñ chhuT ke daam se ham
mil ga.ī jab nigāh saaqī se
ho ga.e be-niyāz jaam se ham
us kā har ik qusūr kar ke muaaf
mutma.in haiñ is intiqām se ham
bijliyāñ gir rahī haiñ gulshan par
luT rahe haiñ kis ehtimām se ham
tum jahāñ saath de nahīñ sakte
ab guzarte haiñ us maqām se ham
mehrbāñ the 'sa.īd' vo kal tak
aaj mahrūm haiñ salām se ham
kis takalluf kis ehtimam se hum
dil ko bahla rahe hain sham se hum
mai chhalakti hai rind pyase hain
phir bhi KHush hain is intizam se hum
ab gulistan mein aashiyan bhi nahin
ab kahan jaen chhuT ke dam se hum
mil gai jab nigah saqi se
ho gae be-niyaz jam se hum
us ka har ek qusur kar ke muaf
mutmain hain is intiqam se hum
bijliyan gir rahi hain gulshan par
luT rahe hain kis ehtimam se hum
tum jahan sath de nahin sakte
ab guzarte hain us maqam se hum
mehrban the 'said' wo kal tak
aaj mahrum hain salam se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.