kis taraf hae mere dil mera lashkar chhuTa
kis taraf haa.e mire dil mirā lashkar chhūTā
mirā kumba mirā ḳhema mirā ghar bhar chhūTā
maiñ khaḌā ghūrtā rahtā huuñ ḳhalā meñ kyā kyā
koī batlā.e mujhe kaise vo manzar chhūTā
likh liyā kartā thā jo dil pe guzartī thī magar
aisī kuchh guzrī qalam haath se lag kar chhūTā
baat karte haiñ mohabbat kī jahāñ baste haiñ log
maiñ kahāñ rahtā huuñ kis des mirā ghar chhūTā
sāneha ek nahīñ saiñkaḌoñ daftar meñ 'zahīr'
zikr us kā hai jahāñ dil sā musāfir chhūTā
kis taraf hae mere dil mera lashkar chhuTa
mera kumba mera KHema mera ghar bhar chhuTa
main khaDa ghurta rahta hun KHala mein kya kya
koi batlae mujhe kaise wo manzar chhuTa
likh liya karta tha jo dil pe guzarti thi magar
aisi kuchh guzri qalam hath se lag kar chhuTa
baat karte hain mohabbat ki jahan baste hain log
main kahan rahta hun kis des mera ghar chhuTa
saneha ek nahin sainkaDon daftar mein 'zahir'
zikr us ka hai jahan dil sa musafir chhuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.