kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat mein rahe
kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat mein rahe
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat meñ rahe
haa.e vo dil jo tire vasl kī hasrat meñ rahe
ham pas-e-marg bhī betābi-e-furqat meñ rahe
kabhī bāhar nikal aa.e kabhī turbat meñ rahe
tīrgī ab na hamārī shab-e-furqat meñ rahe
un kī zulfoñ meñ rahe ġhair kī turbat meñ rahe
kū-e-qātil meñ rahe ham ye aziyyat meñ rahe
nīm-bismil kī tarah shauq-e-shahādat meñ rahe
sub.h tak mujh se vo lipTā shab-e-vaslat meñ rahe
raat bhar aaj asar jazb-e-mohabbat meñ rahe
ġhair ke ashkoñ se dho.eñ to na dāman se chhuTe
itnī shoḳhī to mire ḳhuun kī rangat meñ rahe
rang halkā sā ho jin phūloñ kā vo pahno tum
kuchh takalluf bhī mirī jaan nazākat meñ rahe
ġhair ke saath vo jab phuul chaḌhāne aa.e
ham bahut dil ko sañbhāle hue turbat meñ rahe
terī sarkār meñ insāf yahī hai ai ishq
aarzū koī nikāle koī hasrat meñ rahe
zab.h ke vaqt vo zaanū pe mirā sar rakh le
kuchh to ārām kā pahlū bhī aziyyat meñ rahe
dam-e-ḳhanda dar-e-dandāñ kā agar aks paḌe
kuchh chamak bhī tire ruḳhsār kī rangat meñ rahe
lutf kyā paa.e haiñ hañs bol ke ham ne tum ne
gul-o-bulbul kī tarah bāġh-e-mohabbat meñ rahe
pūchheñ ahvāl mirā vo to ye kahnā qāsid
shab ko bechain bahut dard kī shiddat meñ rahe
dil na qaabū meñ rahā dekh ke sūrat un kī
ġhash se fursat huī ham ko to hairat meñ rahe
maiñ to ghabrā ke chalā huuñ kisī kūche kī taraf
bekasī aa ke mire ghar shab-e-furqat meñ rahe
bad-gumāñ huuñ maiñ dikhā.e na kisī ko sūrat
yā mire dil meñ rahe yā koī ḳhalvat meñ rahe
ruḳh-e-raushan pe jo tum zulf-e-siyah bikhrā do
phir na kuchh ḳhauf sahar kā shab-e-vaslat meñ rahe
baad murdan na jagah paa.ī kisī kūche meñ
muft barbād hasīnoñ kī mohabbat meñ rahe
mirī turbat se lipaT kar ye kisī kā kahnā
aap ab hashr talak vasl kī hasrat meñ rahe
zānū-e-hūr pe soyā kiye sar rakkhe hue
tire kushte bhī baḌī aish se turbat meñ rahe
baad marne ke khulī haiñ jo hamārī āñkheñ
hai ishāra tire dīdār kī hasrat meñ rahe
dhajjiyāñ shaiḳh kī is tarah uḌaao rindo
ek bhī taar na dastār-e-fazīlat meñ rahe
be-naqāb aa ke jo vo qabr pe ġham karte haiñ
chāhte haiñ ki mirī na.ash na turbat meñ rahe
kabhī dil thaam ke baiThe kabhī ghabrā uTThe
kyā kaheñ aap se kyūñkar shab-e-furqat meñ rahe
zab.h kartā koī zaanū se dabā kar siina
haa.e mushtāq-e-shahādat isī hasrat meñ rahe
ḳhush-nasībī hai jo phirtā huuñ tire kūche meñ
aarzū hai yahī gardish mirī qismat meñ rahe
ġhair kī qabr pe vo phuul chaḌhāyā kiye roz
aasrā ham bhī lagā.e hue turbat meñ rahe
hazrat-e-shaiḳh jo maiḳhāne meñ aa.eñ 'naushād'
ek bhī taar na dastār-e-fazīlat meñ rahe
kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat mein rahe
hae wo dil jo tere wasl ki hasrat mein rahe
hum pas-e-marg bhi betabi-e-furqat mein rahe
kabhi bahar nikal aae kabhi turbat mein rahe
tirgi ab na hamari shab-e-furqat mein rahe
un ki zulfon mein rahe ghair ki turbat mein rahe
ku-e-qatil mein rahe hum ye aziyyat mein rahe
nim-bismil ki tarah shauq-e-shahadat mein rahe
subh tak mujh se wo lipTa shab-e-waslat mein rahe
raat bhar aaj asar jazb-e-mohabbat mein rahe
ghair ke ashkon se dhoen to na daman se chhuTe
itni shoKHi to mere KHun ki rangat mein rahe
rang halka sa ho jin phulon ka wo pahno tum
kuchh takalluf bhi meri jaan nazakat mein rahe
ghair ke sath wo jab phul chaDhane aae
hum bahut dil ko sanbhaale hue turbat mein rahe
teri sarkar mein insaf yahi hai ai ishq
aarzu koi nikale koi hasrat mein rahe
zabh ke waqt wo zanu pe mera sar rakh le
kuchh to aaram ka pahlu bhi aziyyat mein rahe
dam-e-KHanda dar-e-dandan ka agar aks paDe
kuchh chamak bhi tere ruKHsar ki rangat mein rahe
lutf kya pae hain hans bol ke hum ne tum ne
gul-o-bulbul ki tarah bagh-e-mohabbat mein rahe
puchhen ahwal mera wo to ye kahna qasid
shab ko bechain bahut dard ki shiddat mein rahe
dil na qabu mein raha dekh ke surat un ki
ghash se fursat hui hum ko to hairat mein rahe
main to ghabra ke chala hun kisi kuche ki taraf
bekasi aa ke mere ghar shab-e-furqat mein rahe
bad-guman hun main dikhae na kisi ko surat
ya mere dil mein rahe ya koi KHalwat mein rahe
ruKH-e-raushan pe jo tum zulf-e-siyah bikhra do
phir na kuchh KHauf sahar ka shab-e-waslat mein rahe
baad murdan na jagah pai kisi kuche mein
muft barbaad hasinon ki mohabbat mein rahe
meri turbat se lipaT kar ye kisi ka kahna
aap ab hashr talak wasl ki hasrat mein rahe
zanu-e-hur pe soya kiye sar rakkhe hue
tere kushte bhi baDi aish se turbat mein rahe
baad marne ke khuli hain jo hamari aankhen
hai ishaara tere didar ki hasrat mein rahe
dhajjiyan shaiKH ki is tarah uDao rindo
ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe
be-naqab aa ke jo wo qabr pe gham karte hain
chahte hain ki meri nash na turbat mein rahe
kabhi dil tham ke baiThe kabhi ghabra uTThe
kya kahen aap se kyunkar shab-e-furqat mein rahe
zabh karta koi zanu se daba kar sina
hae mushtaq-e-shahadat isi hasrat mein rahe
KHush-nasibi hai jo phirta hun tere kuche mein
aarzu hai yahi gardish meri qismat mein rahe
ghair ki qabr pe wo phul chaDhaya kiye roz
aasra hum bhi lagae hue turbat mein rahe
hazrat-e-shaiKH jo maiKHane mein aaen 'naushad'
ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.