kis tarah kaTti hai gham ki sham dekha chahiye
kis tarah kaTti hai gham ki sham dekha chahiye
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
kis tarah kaTtī hai ġham kī shaam dekhā chāhiye
dard kā hotā hai kyā anjām dekhā chāhiye
be-ḳhudī shorīdgī kā aaj un kī bazm meñ
kis ke sar aatā hai phir ilzām dekhā chāhiye
jalva-gar hai husn sad-nāz-o-adā se baam par
kaun phir aatā hai zer-e-dām dekhā chāhiye
phir vahī soz-e-tamannā phir vahī josh-e-junūñ
hashr terā ai dil-e-nākām dekhā chāhiye
kaun hotā hai bharī duniyā meñ ab apnā rafīq
iltifāt-e-gardish-e-ayyām dekhā chāhiye
tishna-lab uThtā huuñ un kī bazm se yā shād-kām
sabr kā miltā hai kyā in.aam dekhā chāhiye
naam ho dushnām ho anjām jo bhī ho 'ziyā'
le liyā hai baḌh ke ham ne jaam dekhā chāhiye
kis tarah kaTti hai gham ki sham dekha chahiye
dard ka hota hai kya anjam dekha chahiye
be-KHudi shoridgi ka aaj un ki bazm mein
kis ke sar aata hai phir ilzam dekha chahiye
jalwa-gar hai husn sad-naz-o-ada se baam par
kaun phir aata hai zer-e-dam dekha chahiye
phir wahi soz-e-tamanna phir wahi josh-e-junun
hashr tera ai dil-e-nakaam dekha chahiye
kaun hota hai bhari duniya mein ab apna rafiq
iltifat-e-gardish-e-ayyam dekha chahiye
tishna-lab uThta hun un ki bazm se ya shad-kaam
sabr ka milta hai kya inam dekha chahiye
nam ho dushnam ho anjam jo bhi ho 'ziya'
le liya hai baDh ke hum ne jam dekha chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.