kis tarah man len tujhe haq par
kis tarah maan leñ tujhe haq par
log chalte haiñ apne maslak par
ashk jamte haiñ din kī garmī meñ
dil pighaltā hai shab kī ThanDak par
niind bistar pe aa ke baiThī hai
aur hai merā dhyān dastak par
daḳhl hotā kahāñ hai maz.hab kā
ishq chaltā kahāñ hai maslak par
qīmatoñ ke ġhurūr meñ aa ke
hans rahī hai dukān gāhak par
vo thī shauqīn rail dekhne kī
maiñ bhī jaatā thā roz phāTak par
chaaT jaatī hai ruuh ko 'āriz'
Dāliye zahr man kī dīmak par
kis tarah man len tujhe haq par
log chalte hain apne maslak par
ashk jamte hain din ki garmi mein
dil pighalta hai shab ki ThanDak par
nind bistar pe aa ke baiThi hai
aur hai mera dhyan dastak par
daKHl hota kahan hai mazhab ka
ishq chalta kahan hai maslak par
qimaton ke ghurur mein aa ke
hans rahi hai dukan gahak par
wo thi shauqin rail dekhne ki
main bhi jata tha roz phaTak par
chaT jati hai ruh ko 'ariz'
Daliye zahr man ki dimak par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.