kis waste gila karen un ka kisi se hum
kis vāste gila kareñ un kā kisī se ham
rūThī hai ham se zindagī aur zindagī se ham
ham haiñ vafā-shi.ār zamāne tū dekh le
duniyā-e-dil luTāte haiñ ham apnī ḳhushī se ham
is be-ruḳhī kā terī kahīñ khul na jaa.e raaz
yuuñ dostī kiye haiñ terī dushmanī se ham
had rūThne kī ho chukī ab maan jaao tum
ghabrā ke ro nā deñ kahīñ is dil-lagī se ham
us āstāñ pe sajde kī lazzat ko kyā kaheñ
ab to na baaz ā.eñge is bandagī se ham
'sāqib' jab un pe jaan mohabbat meñ kī nisār
tab lazzat-āshnā hue is āshiqī se ham
kis waste gila karen un ka kisi se hum
ruThi hai hum se zindagi aur zindagi se hum
hum hain wafa-shiar zamane tu dekh le
duniya-e-dil luTate hain hum apni KHushi se hum
is be-ruKHi ka teri kahin khul na jae raaz
yun dosti kiye hain teri dushmani se hum
had ruThne ki ho chuki ab man jao tum
ghabra ke ro na den kahin is dil-lagi se hum
us aastan pe sajde ki lazzat ko kya kahen
ab to na baz aaenge is bandagi se hum
'saqib' jab un pe jaan mohabbat mein ki nisar
tab lazzat-ashna hue is aashiqi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.