kis waqt hadson se paDa sabiqa mujhe
kis vaqt hādsoñ se paḌā sābiqa mujhe
ḳhud naag ban ke Dastā hai saaya mirā mujhe
maiñ ne ḳhushī se bār-e-amānat uThā liyā
hairat se takte rah ga.e arz-o-samā mujhe
ehsā-e-dard lazzat-e-ġham pyaar kā ḳhumār
mat pūchh bazm-e-nāz se kyā kyā milā mujhe
ye inkishāf-e-zāt hai me.arāj-e-zindagī
kuchh bhī nahīñ hai yaad ḳhudā ke sivā mujhe
taqrīr kaam aa.ī na tahrīr umr bhar
ik jumbish-e-nigāh ne chauñkā diyā mujhe
phir muskurā uThe haiñ mere zaḳhm-hā-e-dil
phir terī yaad ban ga.ī ik sāneha mujhe
sub.h-e-nashāt-e-dil hai na shām-e-ġham-e-'hayāt'
ai iztirāb-e-shauq kahāñ le chalā mujhe
kis waqt hadson se paDa sabiqa mujhe
KHud nag ban ke Dasta hai saya mera mujhe
main ne KHushi se bar-e-amanat uTha liya
hairat se takte rah gae arz-o-sama mujhe
ehsa-e-dard lazzat-e-gham pyar ka KHumar
mat puchh bazm-e-naz se kya kya mila mujhe
ye inkishaf-e-zat hai mearaj-e-zindagi
kuchh bhi nahin hai yaad KHuda ke siwa mujhe
taqrir kaam aai na tahrir umr bhar
ek jumbish-e-nigah ne chaunka diya mujhe
phir muskura uThe hain mere zaKHm-ha-e-dil
phir teri yaad ban gai ek saneha mujhe
subh-e-nashat-e-dil hai na sham-e-gham-e-'hayat'
ai iztirab-e-shauq kahan le chala mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.