kis zindagi ke moD pe laya gaya mujhe
kis zindagī ke moḌ pe laayā gayā mujhe
maiñ hañs rahī thī aur rulāyā gayā mujhe
pahle to tīra-baḳht musalsal kahā gayā
phir taḳht-e-zau-fishāñ pe biThāyā gayā mujhe
pahle to intiḳhāb huā nām-e-husn par
phir ism-e-ishq le ke banāyā gayā mujhe
mujh se mire ḳhayāl kī tanhā.ī chhin ga.ī
mahfil meñ kis sadā se bulāyā gayā mujhe
aġhyār se vo kartā rahā muskurā ke baat
is aag kī hadoñ meñ jalāyā gayā mujhe
rahbar ne is tarah se diyā hai mujhe fareb
manzil se haT ke rasta dikhāyā gayā mujhe
pahle mirī vafā ko mo.attar kiyā gayā
phir gulshan-e-hayā se sajāyā gayā mujhe
ik shaḳhs aa gayā hai na.ī raushnī ke saath
ye bhī ḳhat-e-nafas se batāyā gayā mujhe
vo kaun āsmān-e-tasavvur hai 'hādia'
merī zamīñ se jis meñ basāyā gayā mujhe
kis zindagi ke moD pe laya gaya mujhe
main hans rahi thi aur rulaya gaya mujhe
pahle to tira-baKHt musalsal kaha gaya
phir taKHt-e-zau-fishan pe biThaya gaya mujhe
pahle to intiKHab hua nam-e-husn par
phir ism-e-ishq le ke banaya gaya mujhe
mujh se mere KHayal ki tanhai chhin gai
mahfil mein kis sada se bulaya gaya mujhe
aghyar se wo karta raha muskura ke baat
is aag ki hadon mein jalaya gaya mujhe
rahbar ne is tarah se diya hai mujhe fareb
manzil se haT ke rasta dikhaya gaya mujhe
pahle meri wafa ko moattar kiya gaya
phir gulshan-e-haya se sajaya gaya mujhe
ek shaKHs aa gaya hai nai raushni ke sath
ye bhi KHat-e-nafas se bataya gaya mujhe
wo kaun aasman-e-tasawwur hai 'hadia'
meri zamin se jis mein basaya gaya mujhe
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.