kise aziz nahin hogi zindagi meri
kise aziiz nahīñ hogī zindagī merī
kisī pe baar hī kab thī yahāñ ḳhushī merī
baġhair us se mile us ke ghar se lauTī huuñ
kahāñ ga.ī thī mujhe le ke sādgī merī
kabhī jo bhūlnā chāhoge dushmanī ke din
hamesha yaad dilā.egī dostī merī
tumheñ vo chain se sone kabhī nahīñ degī
satā.egī tumheñ har baat pe kamī merī
mahaktā jhūmtā ik taaza phuul huuñ maiñ bhī
bikhar ga.ī hai havāoñ meñ tāzgī merī
isī maqām pe tum bhī kiran chale aao
jahāñ pe tum ne badal dī thī zindagī merī
kise aziz nahin hogi zindagi meri
kisi pe bar hi kab thi yahan KHushi meri
baghair us se mile us ke ghar se lauTi hun
kahan gai thi mujhe le ke sadgi meri
kabhi jo bhulna chahoge dushmani ke din
hamesha yaad dilaegi dosti meri
tumhein wo chain se sone kabhi nahin degi
sataegi tumhein har baat pe kami meri
mahakta jhumta ek taza phul hun main bhi
bikhar gai hai hawaon mein tazgi meri
isi maqam pe tum bhi kiran chale aao
jahan pe tum ne badal di thi zindagi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.