kise bataen ki zad-e-safar gaya kab ka
kise batā.eñ ki zād-e-safar gayā kab kā
rahā hī kyā hai ġham-e-mo'tabar gayā kab kā
mujhe bhī dekh ki maiñ ek naqsh-e-hairat huuñ
dikhā ke aa.ina ā.īna-gar gayā kab kā
talāsh sahrā-ba-sahrā jise kiyā maiñ ne
vo merī ruuh ke andar utar gayā kab kā
duā rahīn-e-asar hai ye baat sach hai magar
mirī duā se yaqīnan asar gayā kab kā
na sañg-e-mīl na jaada na koī manzil-e-shauq
akelā maiñ huuñ mirā ham-safar gayā kab kā
koī umiid na ḳhvāhish na aarzū baaqī
ki mere jism kā insān mar gayā kab kā
'habāb' ek tanāvar daraḳht thā maiñ bhī
pa TuuT TuuT ke āḳhir bikhar gayā kab kā
kise bataen ki zad-e-safar gaya kab ka
raha hi kya hai gham-e-mo'tabar gaya kab ka
mujhe bhi dekh ki main ek naqsh-e-hairat hun
dikha ke aaina aaina-gar gaya kab ka
talash sahra-ba-sahra jise kiya main ne
wo meri ruh ke andar utar gaya kab ka
dua rahin-e-asar hai ye baat sach hai magar
meri dua se yaqinan asar gaya kab ka
na sang-e-mil na jada na koi manzil-e-shauq
akela main hun mera ham-safar gaya kab ka
koi umid na KHwahish na aarzu baqi
ki mere jism ka insan mar gaya kab ka
'habab' ek tanawar daraKHt tha main bhi
pa TuT TuT ke aaKHir bikhar gaya kab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.