kise bataen mohabbat mein kya kiya maine
kise batā.eñ mohabbat meñ kyā kiyā maiñ ne
banā ke apnā nasheman jalā diyā maiñ ne
ġhurūr-e-ishq ḳhudī aur ābrū-e-vafā
inheñ gañvā ke bahut kuchh bachā liyā maiñ ne
zamāna is ko kahe mai-kashī ki mai-ḳhvārī
tamām umr ḳhud apnā lahū piyā maiñ ne
bujhā ga.ī thī kabhī jis ko be-ruḳhī terī
usī charāġh ko phir se jilā liyā nai
kal us ko dekh ke dil kitnā be-qarār huā
samajh rahā thā ki us ko bhulā diyā maiñ ne
kise bataen mohabbat mein kya kiya main ne
bana ke apna nasheman jala diya main ne
ghurur-e-ishq KHudi aur aabru-e-wafa
inhen ganwa ke bahut kuchh bacha liya main ne
zamana is ko kahe mai-kashi ki mai-KHwari
tamam umr KHud apna lahu piya main ne
bujha gai thi kabhi jis ko be-ruKHi teri
usi charagh ko phir se jila liya nai
kal us ko dekh ke dil kitna be-qarar hua
samajh raha tha ki us ko bhula diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.