kise bataun ki wahshat ka faeda kya hai
kise batā.ūñ ki vahshat kā fā.eda kyā hai
havā meñ phuul khilāne kā qā.eda kyā hai
payambaroñ ne kahā thā ki jhuuT hāregā
magar ye dekhiye apnā mushāhida kyā hai
tamām umr kī zahmat kā ajr ye duniyā
ye kis se pūchhiye āḳhir muāhida kyā hai
sabhī ḳhamosh haiñ afsurdagī kā daftar haiñ
khule to kaise ki vo hukm-e-ā.eda kyā hai
usī kā ḳhvāb hai merī navā-e-ḳhvāb 'na.īm'
mirā vajūd bhī us se alāhada kyā hai
kise bataun ki wahshat ka faeda kya hai
hawa mein phul khilane ka qaeda kya hai
payambaron ne kaha tha ki jhuT haarega
magar ye dekhiye apna mushahida kya hai
tamam umr ki zahmat ka ajr ye duniya
ye kis se puchhiye aaKHir muahida kya hai
sabhi KHamosh hain afsurdagi ka daftar hain
khule to kaise ki wo hukm-e-aeda kya hai
usi ka KHwab hai meri nawa-e-KHwab 'naim'
mera wajud bhi us se alahada kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.