kise DhunDhti hai mohabbat kisi ki
kise DhūñDhtī hai mohabbat kisī kī
adam paar hai ab sukūnat kisī kī
guzārī hai umr-e-ravāñ ḳhvāb jaise
hai ye rā.egānī badaulat kisī kī
haiñ kuchh zaḳhm jo motiyoñ se jaḌe haiñ
ki phir yaad aa.ī shabāhat kisī kī
maiñ chhū aa.ī saat āsmāñ kuchh ḳhabar hai
magar dil se niklī na hasrat kisī kī
thī sadiyoñ se ik mo.ajize kī tamannā
mujhe raas aa.egī sohbat kisī kī
mujhe zahr-e-qātil bhī raas aa gayā hai
mujhe maar Dālegī hairat kisī kī
maiñ kuchh kah na pā.ūñgī ye jāntī huuñ
agar ho mayassar jo ḳhalvat kisī kī
faqat chand lamhe mile jugnuoñ se
kisī kī rifāqat meñ ujrat kisī kī
kise DhunDhti hai mohabbat kisi ki
adam par hai ab sukunat kisi ki
guzari hai umr-e-rawan KHwab jaise
hai ye raegani badaulat kisi ki
hain kuchh zaKHm jo motiyon se jaDe hain
ki phir yaad aai shabahat kisi ki
main chhu aai sat aasman kuchh KHabar hai
magar dil se nikli na hasrat kisi ki
thi sadiyon se ek moajize ki tamanna
mujhe ras aaegi sohbat kisi ki
mujhe zahr-e-qatil bhi ras aa gaya hai
mujhe mar Dalegi hairat kisi ki
main kuchh kah na paungi ye jaanti hun
agar ho mayassar jo KHalwat kisi ki
faqat chand lamhe mile jugnuon se
kisi ki rifaqat mein ujrat kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.