kise gharaz thi jo hu ki faza mein ja milta
kise ġharaz thī jo hū kī fazā meñ jā miltā
talāsh koī na kartā agar ḳhudā miltā
yaqīn hai ki sitāre jagah se haT jaate
qadam jo ham bhī uThāte to rāstā miltā
tire ḳhayāl meñ hotī fidā bhī jaan agar
tirā ḳhayāl kabhī to amal se jā miltā
sukūn-e-qalb koī rahguzar kī chiiz nahīñ
uThā ke le hī na aate agar paḌā miltā
hayāt-o-ilm-o-nashāt-o-malāl-o-dānish-o-marg
bashar ko aur libās-e-bashar meñ kyā miltā
sitam hī thā jo kahīñ ma.arifat meñ kho jaate
janāb-e-'najm' kahāñ aap kā patā miltā
kise gharaz thi jo hu ki faza mein ja milta
talash koi na karta agar KHuda milta
yaqin hai ki sitare jagah se haT jate
qadam jo hum bhi uThate to rasta milta
tere KHayal mein hoti fida bhi jaan agar
tera KHayal kabhi to amal se ja milta
sukun-e-qalb koi rahguzar ki chiz nahin
uTha ke le hi na aate agar paDa milta
hayat-o-ilm-o-nashat-o-malal-o-danish-o-marg
bashar ko aur libas-e-bashar mein kya milta
sitam hi tha jo kahin marifat mein kho jate
janab-e-'najm' kahan aap ka pata milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.