kise KHabar thi ki jite ji bhi wo daur aayega zindagi ka
kise KHabar thi ki jite ji bhi wo daur aayega zindagi ka
Ameer Raza Mazhari
MORE BYAmeer Raza Mazhari
kise ḳhabar thī ki jiite jī bhī vo daur āye.gā zindagī kā
ki hogā mahsūs har nafas ye na koī merā na maiñ kisī kā
hudūd-e-vahm-o-gumāñ se guzrā makāñ to kyā lā-makāñ se guzrā
rukegā āḳhir kahāñ pahuñch kar ye kārvāñ zauq-e-āgahī kā
jo mere dil se thā un ko karnā na kar sakīñ aap kī nigāheñ
mirī tabī.at meñ naqs jo hai qusūr hai vo bhī aap hī kā
hai qābil-e-rahm un kī hālat na kījiye aap un se nafrat
dar-asl ehsās-e-kamtarī hai jinheñ hai kuchh naaz bartarī kā
sikhāne vaale to aa.e paiham har ik zamīñ par har ik zamāñ meñ
magar ham aise hī bad-guhar the salīqa aayā na zindagī kā
ye ham ne maanā ki is jahāñ meñ ḳhulūs-e-jins-e-garāñ hai lekin
kabhī to yaaro ḳhulūs barto bharam to rah jaa.e dostī kā
jo husn-e-pur-kār par fidā haiñ unheñ 'razā' kaun ye batā.e
vo husn hai fitna-e-qayāmat lagā.e ġhāza jo sādgī kā
kise KHabar thi ki jite ji bhi wo daur aayega zindagi ka
ki hoga mahsus har nafas ye na koi mera na main kisi ka
hudud-e-wahm-o-guman se guzra makan to kya la-makan se guzra
rukega aaKHir kahan pahunch kar ye karwan zauq-e-agahi ka
jo mere dil se tha un ko karna na kar sakin aap ki nigahen
meri tabiat mein naqs jo hai qusur hai wo bhi aap hi ka
hai qabil-e-rahm un ki haalat na kijiye aap un se nafrat
dar-asl ehsas-e-kamtari hai jinhen hai kuchh naz bartari ka
sikhane wale to aae paiham har ek zamin par har ek zaman mein
magar hum aise hi bad-guhar the saliqa aaya na zindagi ka
ye hum ne mana ki is jahan mein KHulus-e-jins-e-garan hai lekin
kabhi to yaro KHulus barto bharam to rah jae dosti ka
jo husn-e-pur-kar par fida hain unhen 'raza' kaun ye batae
wo husn hai fitna-e-qayamat lagae ghaza jo sadgi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.