kise KHayal ki ishrat ke bab kitne hain
kise ḳhayāl ki ishrat ke baab kitne haiñ
ye pyaas kitnī hai is par sarāb kitne haiñ
safīna ghaaT lagā dekh ham ye bhuul ga.e
ki vo safīne jo haiñ ġharq-e-āb kitne haiñ
tū ye na pūchh mire gaañv meñ haiñ ghar kitne
ye pūchh kaun se ghar meñ azaab kitne haiñ
sharīk-e-ġham use kar to liyā magar socho
ki zimmedār ke zimme javāb kitne haiñ
baḌā ġhurūr hai tujh ko aziim lashkar par
kabhī to soch tire ham-rikāb kitne haiñ
lachaktī shāḳh pe kāñTe bhī kam nahīñ hote
yahī na dekhiye kis par gulāb kitne haiñ
kise KHayal ki ishrat ke bab kitne hain
ye pyas kitni hai is par sarab kitne hain
safina ghaT laga dekh hum ye bhul gae
ki wo safine jo hain gharq-e-ab kitne hain
tu ye na puchh mere ganw mein hain ghar kitne
ye puchh kaun se ghar mein azab kitne hain
sharik-e-gham use kar to liya magar socho
ki zimmedar ke zimme jawab kitne hain
baDa ghurur hai tujh ko azim lashkar par
kabhi to soch tere ham-rikab kitne hain
lachakti shaKH pe kanTe bhi kam nahin hote
yahi na dekhiye kis par gulab kitne hain
- Book : Ehsas Dar Ehsas (Pg. 28)
- Author : Amar Singh Figar
- Publication : Modern Publishing House (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.