kise KHayal tha aisi bhi saaten hongi
kise ḳhayāl thā aisī bhī sā.ateñ hoñgī
ki mere naam se bhī tujh ko vahshateñ hoñgī
sazā-e-marg kī sūrat visāl guzrā thā
bichhaḌ ga.e haiñ to kyā kyā qayāmateñ hoñgī
judā.iyoñ meñ zamāne ne kyā sulūk kiyā
kabhī dobāra mile to hikāyateñ hoñgī
ḳhushā ki apnī vafā fāsloñ kī nazr huī
hamāre ba.ad zamīñ par rifāqateñ hoñgī
ujaḌ gayā huuñ magar hausle salāmat haiñ
ki ek din tujhe shāyad nadāmateñ hoñgī
kise KHayal tha aisi bhi saaten hongi
ki mere nam se bhi tujh ko wahshaten hongi
saza-e-marg ki surat visal guzra tha
bichhaD gae hain to kya kya qayamaten hongi
judaiyon mein zamane ne kya suluk kiya
kabhi dobara mile to hikayaten hongi
KHusha ki apni wafa faslon ki nazr hui
hamare baad zamin par rifaqaten hongi
ujaD gaya hun magar hausle salamat hain
ki ek din tujhe shayad nadamaten hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.