kise pukare madad ko kise bulae badan
kise pukāre madad ko kise bulā.e badan
akele ishq ko kaise sañbhāl paa.e badan
maiñ apnī ruuh se milvā duuñ us ko ḳhush ho kar
vo darmiyān se apne agar haTā.e badan
na jaane phūñk diyā kyā shikārī ne paḌh kar
chhurī ke nīche parindoñ ne ḳhud bichhā.e badan
kabhī jo dekho to bāzār-e-husn meñ jā kar
yahāñ vahāñ rakhe hoñge saje sajā.e badan
añdhere ḳhauf ke tabdīl hoñ ujāloñ meñ
hamārī qabr meñ ai kaash terā aa.e badan
are shu.ūr nahīñ hai use to itnā bhī
chhupā.e bhī to vo kis tarah se chhupā.e badan
ye jī meñ aatā hai ab to utaar kar rakh deñ
kahāñ kahāñ phireñ āḳhir 'shikhā' uThā.e badan
kise pukare madad ko kise bulae badan
akele ishq ko kaise sanbhaal pae badan
main apni ruh se milwa dun us ko KHush ho kar
wo darmiyan se apne agar haTae badan
na jaane phunk diya kya shikari ne paDh kar
chhuri ke niche parindon ne KHud bichhae badan
kabhi jo dekho to bazar-e-husn mein ja kar
yahan wahan rakhe honge saje sajae badan
andhere KHauf ke tabdil hon ujalon mein
hamari qabr mein ai kash tera aae badan
are shuur nahin hai use to itna bhi
chhupae bhi to wo kis tarah se chhupae badan
ye ji mein aata hai ab to utar kar rakh den
kahan kahan phiren aaKHir 'shikha' uThae badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.