kise shuur hai yun zaKHm-e-dil dikhane ka
kise shu.ūr hai yuuñ zaḳhm-e-dil dikhāne kā
kahīñ na dekhoge ye rañg muskurāne kā
mirā lahū hai nigār-e-hayāt kī mehñdī
mujhe dimāġh kahāñ ashk-e-ḳhūñ bahāne kā
nashāt-e-ġham hī to is zindagī kā hāsil hai
agar ho dil meñ salīqa ye lutf paane kā
qafas meñ jalva-e-gul kā bhī ehtimām sahī
magar vo ālam-e-āzād āshiyāne kā
jo zarra hai vo dhaḌaktā huā sā ik dil hai
ye kā.enāt ta.assur hai kis tarāne kā
sitāroñ meñ hī tarannum shagūfoñ meñ gulbāñg
kahāñ nahīñ hai fusūñ un ke gungunāne kā
mirā suḳhan hai manār un ke husn kā 'kaukab'
hilā sakegā na tūfāñ kisī zamāne kā
kise shuur hai yun zaKHm-e-dil dikhane ka
kahin na dekhoge ye rang muskurane ka
mera lahu hai nigar-e-hayat ki mehndi
mujhe dimagh kahan ashk-e-KHun bahane ka
nashat-e-gham hi to is zindagi ka hasil hai
agar ho dil mein saliqa ye lutf pane ka
qafas mein jalwa-e-gul ka bhi ehtimam sahi
magar wo aalam-e-azad aashiyane ka
jo zarra hai wo dhaDakta hua sa ek dil hai
ye kaenat tassur hai kis tarane ka
sitaron mein hi tarannum shagufon mein gulbang
kahan nahin hai fusun un ke gungunane ka
mera suKHan hai manar un ke husn ka 'kaukab'
hila sakega na tufan kisi zamane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.