kise sukun mile zindagi ke pahlu mein
kise sukūn mile zindagī ke pahlū meñ
ravāñ hai ġham kā samundar ḳhushī ke pahlū meñ
samundaroñ se kaho merā zarf bhī dekheñ
ki ek umr se huuñ tishnagī ke pahlū meñ
samajh rahā huuñ jise be-qarāriyoñ kā sabab
qarār aa.e to shāyad usī ke pahlū meñ
ye mehr-o-māh vo duniyā talāsh karte haiñ
ki raushnī ho jahāñ raushnī ke pahlū meñ
ye kyā mazāq-e-junūñ hai dil-e-junūñ-āgāh
usī ko DhūñD rahā hai usī ke pahlū meñ
mire qarīb na aao ki faisla ho jaa.e
maiñ raushnī huuñ ki huuñ raushnī ke pahlū meñ
bajā ki gum hue hosh-o-havās ai 'nashtar'
magar jo hosh hai dīvāngī ke pahlū meñ
kise sukun mile zindagi ke pahlu mein
rawan hai gham ka samundar KHushi ke pahlu mein
samundaron se kaho mera zarf bhi dekhen
ki ek umr se hun tishnagi ke pahlu mein
samajh raha hun jise be-qarariyon ka sabab
qarar aae to shayad usi ke pahlu mein
ye mehr-o-mah wo duniya talash karte hain
ki raushni ho jahan raushni ke pahlu mein
ye kya mazaq-e-junun hai dil-e-junun-agah
usi ko DhunD raha hai usi ke pahlu mein
mere qarib na aao ki faisla ho jae
main raushni hun ki hun raushni ke pahlu mein
baja ki gum hue hosh-o-hawas ai 'nashtar'
magar jo hosh hai diwangi ke pahlu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.