kise suraj kise chanda kahen hum
kise sūraj kise chanda kaheñ ham
kise ab aañkh kā taara kaheñ ham
tire dar se bhī ham pyāse hī lauTe
batā kaise tujhe dariyā kaheñ ham
vafā kī aabrū rakhnī hai ham ko
to tujh ko kis liye jhūTā kaheñ ham
hazāroñ zaḳhm dil se aa lageñ haiñ
kise aa'lā kise achchhā kaheñ ham
mohabbat ne hamārī jaan lī hai
ise ab zahr kī puḌiyā kaheñ ham
kise suraj kise chanda kahen hum
kise ab aankh ka tara kahen hum
tere dar se bhi hum pyase hi lauTe
bata kaise tujhe dariya kahen hum
wafa ki aabru rakhni hai hum ko
to tujh ko kis liye jhuTa kahen hum
hazaron zaKHm dil se aa lagen hain
kise aa'la kise achchha kahen hum
mohabbat ne hamari jaan li hai
ise ab zahr ki puDiya kahen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.