kise talash karen sharh-e-arzu ke liye
kise talāsh kareñ sharh-e-ārzū ke liye
zabān-e-hāl hī kaafī hai guftugū ke liye
vo aur maiñ jo haiñ duniyā-e-rang-o-bū ke liye
kiyā hai ḳhalq mujhe apnī justujū ke liye
sitam ke baa'd karam kī nigāh kyā ma.anī
jigar ke zaḳhm to hote nahīñ rafū ke liye
niyāz-o-nāz ke aa.iin koī kyā jaane
tirī talāsh rahī apnī justujū ke liye
adā huā na kabhī mudda.ā-e-dil ham se
vo vaqt mil bhī gayā us se guftugū ke liye
ġham-e-firāq se vābasta haiñ kuchh ummīdeñ
liyā hai saath ise terī justujū ke liye
mire ḳhayāl meñ aa.ī hai shāmat-e-dil aaj
machal rahā hai jo ye tujh se guftugū ke liye
hazār-haif mirā dil miTā diyā tū ne
yahī thā ek tire ġham kī aabrū ke liye
mile mile na mile vo to us kā ġham kyā hai
banī hai fitrat-e-ishq us kī justujū ke liye
ġham-e-hayāt kahāñ aur mujh sā rind kahāñ
ye kulfateñ haiñ faqat ek aarzū ke liye
vo aa.e aur chale bhī ga.e magar afsos
maiñ sochtā hī rahā un se guftugū ke liye
tirī talāsh to ḳhāmoshiyoñ meñ pinhāñ hai
ye zāhidān-e-zamāna haiñ hāo-hū ke liye
sitam-zarīfī-e-fitrat nahīñ to phir kyā hai
ki terā ishq hai mujh se farishta-ḳhū ke liye
vafā sarisht meñ shāmil hai merī ai 'sābir'
maiñ apnī ziist miTā dūñgā aabrū ke liye
kise talash karen sharh-e-arzu ke liye
zaban-e-haal hi kafi hai guftugu ke liye
wo aur main jo hain duniya-e-rang-o-bu ke liye
kiya hai KHalq mujhe apni justuju ke liye
sitam ke ba'd karam ki nigah kya mani
jigar ke zaKHm to hote nahin rafu ke liye
niyaz-o-naz ke aain koi kya jaane
teri talash rahi apni justuju ke liye
ada hua na kabhi muddaa-e-dil hum se
wo waqt mil bhi gaya us se guftugu ke liye
gham-e-firaq se wabasta hain kuchh ummiden
liya hai sath ise teri justuju ke liye
mere KHayal mein aai hai shamat-e-dil aaj
machal raha hai jo ye tujh se guftugu ke liye
hazar-haif mera dil miTa diya tu ne
yahi tha ek tere gham ki aabru ke liye
mile mile na mile wo to us ka gham kya hai
bani hai fitrat-e-ishq us ki justuju ke liye
gham-e-hayat kahan aur mujh sa rind kahan
ye kulfaten hain faqat ek aarzu ke liye
wo aae aur chale bhi gae magar afsos
main sochta hi raha un se guftugu ke liye
teri talash to KHamoshiyon mein pinhan hai
ye zahidan-e-zamana hain hao-hu ke liye
sitam-zarifi-e-fitrat nahin to phir kya hai
ki tera ishq hai mujh se farishta-KHu ke liye
wafa sarisht mein shamil hai meri ai 'sabir'
main apni zist miTa dunga aabru ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.