kisi aarzi KHushi ka ba-KHushi shikar hota
kisī 'ārzī ḳhushī kā ba-ḳhushī shikār hotā
mujhe ġham kī azmatoñ par jo na e'tibār hotā
ye faroġh-e-dasht-o-sahrā hai shikast-e-gulsitāñ se
na guloñ kā rañg uḌtā na kahīñ ġhubār hotā
mire naḳhl-e-zindagī ne ka.ī ruḳh havā ke dekhe
koī rut kabhī na aatī to sadā bahār hotā
tirī yaad agar na hotī to hayāt kā safīna
na ubuur shaam kartā na sahar ke paar hotā
mirī azmat-e-vafā se vo kabhī shikast khā kar
mirā azm chhīn lete agar iḳhtiyār hotā
tar-o-tāza yuuñ na rahte kabhī phuul mehr-o-mah ke
chaman jahāñ kā mausam jo na ḳhush-gavār hotā
thā agarche muntazir maiñ agar aap aa bhī jaate
to tamām 'umr apnā mujhe intizār hotā
jo na TuuT TuuT jaatā tire jabr kā tasalsul
nazar ehtijāj kartī na nafas pukār hotā
mire maslak-e-vafā meñ tirī diid thī 'ibādat
jo nazar na tujh pe paḌtī maiñ gunāhgār hotā
mirā ashk-e-ḳhūñ hai nāzish mire tajrbe kā hāsil
jo vufūr-e-ġham meñ hañstā to ye shāhkār hotā
kisi 'arzi KHushi ka ba-KHushi shikar hota
mujhe gham ki azmaton par jo na e'tibar hota
ye farogh-e-dasht-o-sahra hai shikast-e-gulsitan se
na gulon ka rang uDta na kahin ghubar hota
mere naKHl-e-zindagi ne kai ruKH hawa ke dekhe
koi rut kabhi na aati to sada bahaar hota
teri yaad agar na hoti to hayat ka safina
na ubur sham karta na sahar ke par hota
meri azmat-e-wafa se wo kabhi shikast kha kar
mera azm chhin lete agar iKHtiyar hota
tar-o-taza yun na rahte kabhi phul mehr-o-mah ke
chaman jahan ka mausam jo na KHush-gawar hota
tha agarche muntazir main agar aap aa bhi jate
to tamam 'umr apna mujhe intizar hota
jo na TuT TuT jata tere jabr ka tasalsul
nazar ehtijaj karti na nafas pukar hota
mere maslak-e-wafa mein teri did thi 'ibaadat
jo nazar na tujh pe paDti main gunahgar hota
mera ashk-e-KHun hai nazish mere tajrbe ka hasil
jo wufur-e-gham mein hansta to ye shahkar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.