kisi aawaz ke pichhe gae hain
kisī āvāz ke pīchhe ga.e haiñ
na-jāne kis taraf bachche ga.e haiñ
bahut kuchh ham ne badlā hai agarche
muqaddar arsh par likhe ga.e haiñ
tijārat-gāh-e-duniyā kā na pūchho
yahāñ insān tak beche ga.e haiñ
ghane ashjār bhī raste meñ aa.e
magar ham haiñ ki bas chalte ga.e haiñ
ba-sū-e-āb pyāse ḳhvāb le kar
ham apne saa.e se pahle ga.e haiñ
ham apne ghar nahīñ le jā sake kuchh
hamesha raah meñ luuTe ga.e haiñ
kisi aawaz ke pichhe gae hain
na-jaane kis taraf bachche gae hain
bahut kuchh hum ne badla hai agarche
muqaddar arsh par likhe gae hain
tijarat-gah-e-duniya ka na puchho
yahan insan tak beche gae hain
ghane ashjar bhi raste mein aae
magar hum hain ki bas chalte gae hain
ba-su-e-ab pyase KHwab le kar
hum apne sae se pahle gae hain
hum apne ghar nahin le ja sake kuchh
hamesha rah mein luTe gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.